Wednesday, 21 December 2011

Urdu Poems Sms

Urdu Poems Sms
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya
Urdu Poems Sms
 Bikhre aashkon ke moti bana na sake,
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aasoo mein tasvir teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake…
`
Hume suläne ki khätir jab raat aati hai,
Hum so nahi pate raat khud so jäti hai,
puchne par dil se ye aawaz aati hai,
aaj unhe yaad kar le raat to roj aati hai..
`
Meri aadat ko wo samajh nahi pate,
Hum bhi unse kuch kah nahi pate,
Ai khuda na jaane ye kaisa yar de diya tune,
Jise yaad kiya bina hum rah nahi pate…
`
Khata ban gaya hai kisi se pyaar karna
saza ban gaya hai kisi pe aitbaar karna
sochta hoon phir khwab sajaun per dil kehta
hai kya tujhe acha lagta hai intezaar karna..
`
Uski yaad mey hum barso rotey rahey
Bewafa wo nikle badnaam hum hote rahey
Mohabbat mey madhoshi ka aalam to dekhiye
Dhool chehre pr thi or hum aaina dhotey rhe…
Urdu Poems Sms 
age bare na qissa-e-ishq-e-butan se ham
sab kuch kaha magar na khule razdan se ham
ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se ham
kuch dil se hain dare hue kuch asman se ham
hanste hain us k giriya-e-beikhtiyar par
bhule hain bat kah k koi razadan se ham
ab shauq se bigar k baten kiya karo
kuch pa gaye hain ap ki tarz-e-bayan se ham
jannat mein tu nahin agar ye zakhm-e-teg-e-ishq
badlenge tujhko zindagi-e-jawidan se ham
Urdu Poems Sms
 sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya
Urdu Poems Sms
Dil ne tere barey mein poocha tou bohat roya
Woh shakhs jo pathar tha, toota tou bohat roya
Yeh dil ke judai ke unwaan pe barson se
Chup tha tou chup raha, roya tou bohat roya
Ik harf tasali ka, Ik harf mohabbat ka
Khud apne liye us ne likha tou bohat roya
Pehle hi shikaston pe khayi thi shikast usne
Lekin woh hathon haara tou bohat roya
Jo ehad nibhaney ki deta tha dua us ne
Urdu Poems Sms
agar yon hi ye dil satata rahega
to ik din mera ji hi jata rahega
main jata hun dil ko tere pas chore
meri yad tujhko dilata rahega
gali se teri dil ko le to chala hun
main pahunchunga jab tak ye ata rahega
qafas main koi tum se ai ham-safiron
khabar kal ki hamko sunata rahega
khafa ho k ai ?Dard? mar to chala tu
kahan tak gam apna chupata rahega
Urdu Poems Sms
  Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?
Urdu Poems Sms
 Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.
Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.
Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.
Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.
Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN.
Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.
Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...