Sunday, 18 December 2011

Urdu Sms Poems


Urdu Sms Poems
 Zara Sa Maan Rakh Lena Meri Pehli Mohabbat Hai.
Sitam Tum Soch Kar Karnaa Meri Pehli Mohabbat Hai.
Agar Jane Ki Zid Hai Tu Chalay Jao Magar Sun Lo.
K Jaldi Lout K Ana Meri Pehli Mohabbt Hai.
Jigar K Khoon Se Likh Kar Tujhe Paigham Bheja Hai.
Tum Ik Lafz Ko Parhna Meri Pehli Mohabbat Hai.
Main Mit Jaon Ga Duniya Se Mujhe Dil Se Mitana Mat.
Saa Dil Mein Mujhe Rakhna Meri Pehli Mohabbat Hai.
Urdu Sms Poems
Mohabbat mein koi farmayesh na karna
Meri ghurbat ki phir numayesh na karna
Jaan to muskura kar doon ga agarcha ho
Wafa ke naam par hijar Azmayesh na karna
Khawbon ki tabeer ki badal jaati hai
Kabhi khwbon ki khawish na karna
Ankhon mein paani dekh kar jal na jaye
Dekhna samundar ke kareeb rehaysh na karna
Tu nahin pas magar dil mein mere shakir
In faslon ki kabhi pemayesh mat karna
Urdu Sms Poems
 Log sath chalnay walay jb sath chor jatay hain
waqt tham nahi jata koi mar nahi jata
koi mar bhi jay to zindagi nahi rukti
raston ko chalna ha rastay to chaltay hain
yar dost miltay hain zakham aisay siltay hain
gird gird lamhon main,umar kat hi jati ha
kuch musafiron ko manzilain nahi miltin
na janay kiun bichar jatay hain wo log
jin ki yadain ben jati hain umar bhar ka rog…
Urdu Sms Poems
Kaisay kahn k apna bana lo mujhy
bahoun mein apni sama lo mujhy
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahn
Tum aa ker mujhi say chura lo mujhy
Meri sab say gehri khuwahish ho puri
Tum agar pass apnay bula lo mujhy
Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai
Tumhara hoon mein to sambhalo mujhy
Najany phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apny dil say kabhi tum nikalo mujhy
Urdu Sms Poems
Rshtay phoolon ke manind hotey hn..
Khun se senchoo to kheel jatey hn…
Khushyoon ke bersat ho to jhoom jatey hn
Gum ke aandhi ho to bekhar jatey hn
Bedy haseen bedy dilfarib hotey hn…..
Pass jaao to kantoo se bhray hoty hn..
Beharoon k hamsafer hotey hn
Khezan k mosum me gumm hojatey hn
Hawa k dosh p leharaty phool kia jeny
Ghari hotey hn jeryn to ye chamn bestay hn..
Urdu Sms Poems
Ab aur kya kisi se marasim burha‘ein hum
Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja‘ein hum
Sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
Sunte rahe hein aap hi apni sada‘ein hum
Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
Itna Na yaad aa ke tujhe bhool ja‘ein hum
Tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
AA tere raaste mein sitare lota‘ein hum
Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
Heh heh khuda Na karda tujhe bhi rula‘ein hum…
Urdu Sms Poems
Hum nazuk nazuk dil walay bas
aisay hi hotay hain,
kabhi hanstatay hain kabhi rotay hain,
kabhi dil mian khawab protay hain,
kabhi mehfil mehfil phirtay hain
kabhi zaat main tanha hotay hain,
kabhi chup ki mohar sajatay hain,
kabhi geet laboon par laatay hain,
kabhi sub ka dil behlatay hain,
kabhi khud main tanha hotay hain
kabhi shub bhar jaagtay rehtay hain,
kabhi lambi taan kay sotay hain,
hum nazuk nazuk dil walay
bus aisay hi to hotay hain...
Urdu Sms Poems
yeh barish ka barasna kaisa,
ik sehra se samandar ka guzarna
kaisa, Eh mera dil na perishan ho
tanhaho kar woh teray saath
chala kub tha? bicharna kaisa
log kehtay hain gulshan ki tabahi
daikho mainto viran sa jungle tha
ujarna kaisa daikhnay main to
koi dard nahin dukh bhi nahin phir
yeh aankhoon main yoon ashkoon
ka ubharna kaisa bewafa kehnay
ki juraat bhi na karna usney iqraar
kya kub tha mukarna kesa?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...